ġham  hai  khāne  ko  ashk  piine  ko
ye  bhī  kam  kyā  hai  apne  jiine  ko
dil  meñ  hargiz  na  rakhiye  kiine  ko
aur  bhī  ġham  bahut  haiñ  jiine  ko
apne  dil  meñ  chhupā.e  phirtā  huuñ
maiñ  tire  dard  ke  dafīne  ko
jis  ko  kahtī  hai  ashk-e-ġham  duniyā
koī  dekhe  to  is  nagīne  ko
mauj-dar-mauj  aa  rahī  hai  sadā
Duub  jaane  do  ab  safīne  ko
laag  meñ  hai  lagāo  kā  andāz
kaun  samjhegā  is  qarīne  ko
sochtā  huuñ  ki  kis  se  duuñ  tashbīh
is  jabīñ  par  hasīñ  pasīne  ko
ishq  ne  kar  diyā  hai  mujh  ko  nihāl
dekhiye  dard  ke  ḳhazīne  ko
shikva  bar-haq  'nazīr'  ye  socho
Thes  pahuñchegī  ābgīne  ko