Shah Room Khan wali

sham aai to ba-har-samt numudar hua

Shah Room Khan wali

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1986
shaam aa.ī to ba-har-samt numūdār huā
tujh se achchhā to tirā sāya-e-dīvār huā
ik tirī yaad ki mānind-e-sahar raushan hai
ik tirā naam ki mujh ko abad-āsār huā
jab maiñ soyā to rakhā us ne mire haath pe haath
baḳht-e-kam-baḳht bhī kis vaqt pe bedār huā
ek saa.il hai tire dar kā sabhī jānte haiñ
haañ vahī shaḳhs ki jo gaañv kā sardār huā
tū ne is ishq meñ paa.ī hai bahut sī daulat
mujh sā nādār to le-de ke qalamkār huā
din ko chamgādaḌeñ jo dekh nahīñ paatī haiñ
ai ḳhudā in ko to sūraj tirā be-kār huā
saḳht jaaḌe kī aziyyat se nikal aayā huuñ
aap ke jism kī hiddat se mujhe pyaar huā
aap ke husn-e-fusūñ-sāz ke kyā kahne haiñ
aa.ina dekh ke hairat meñ giraftār huā
us ne us paar bulāyā hai ka.ī baar 'valī'
aur dariyā ki nahīñ mujh se kabhī paar huā
Top Urdushayar.com