ye  misra.a  nahīñ  hai  vazīfa  mirā  hai
ḳhudā  hai  mohabbat  mohabbat  ḳhudā  hai
kahūñ  kis  tarah  maiñ  ki  vo  bevafā  hai
mujhe  us  kī  majbūriyoñ  kā  patā  hai
havā  ko  bahut  sar-kashī  kā  nasha  hai
magar  ye  na  bhūle  diyā  bhī  diyā  hai
maiñ  us  se  judā  huuñ  vo  mujh  se  judā  hai
mohabbat  ke  māroñ  pe  fazl-e-ḳhudā  hai
nazar  meñ  hai  jalte  makānoñ  kā  manzar
chamakte  haiñ  jugnū  to  dil  kāñptā  hai
unheñ  bhūlnā  yā  unheñ  yaad  karnā
vo  bichhḌe  haiñ  jab  se  yahī  mashġhala  hai
guzartā  hai  har  shaḳhs  chehra  chhupā.e
koī  raah  meñ  ā.īna  rakh  gayā  hai
baḌī  jaan  levā  haiñ  maazī  kī  yādeñ
bhulāne  ko  jī  bhī  nahīñ  chāhtā  hai
kahāñ  tū  'ḳhumār'  aur  kahāñ  kufr  tauba
tujhe  pārsāoñ  ne  bahkā  diyā  hai