vo  hameñ  jis  qadar  āzmāte  rahe
apnī  hī  mushkiloñ  ko  baḌhāte  rahe
vo  akele  meñ  bhī  jo  lajāte  rahe
ho  na  ho  un  ko  ham  yaad  aate  rahe
yaad  karne  pe  bhī  dost  aa.e  na  yaad
dostoñ  ke  karam  yaad  aate  rahe
āñkheñ  sūkhī  huī  naddiyāñ  ban  ga.iiñ
aur  tūfāñ  ba-dastūr  aate  rahe
pyaar  se  un  kā  inkār  bar-haq  magar
lab  ye  kyuuñ  der  tak  thartharāte  rahe
thiiñ  kamāneñ  to  hāthoñ  meñ  aġhyār  ke
tiir  apnoñ  kī  jānib  se  aate  rahe
kar  liyā  sab  ne  ham  se  kinārā  magar
ek  nāseh  ġharīb  aate  jaate  rahe
mai-kade  se  nikal  kar  janāb-e-'ḳhumār'
ka.aba  o  dair  meñ  ḳhaak  uḌāte  rahe