ik  pal  meñ  ik  sadī  kā  mazā  ham  se  pūchhiye
do  din  kī  zindagī  kā  mazā  ham  se  pūchhiye
bhūle  haiñ  rafta  rafta  unheñ  muddatoñ  meñ  ham
qistoñ  meñ  ḳhud-kushī  kā  mazā  ham  se  pūchhiye
āġhāz-e-āshiqī  kā  mazā  aap  jāniye
anjām-e-āshiqī  kā  mazā  ham  se  pūchhiye
jalte  diyoñ  meñ  jalte  gharoñ  jaisī  zau  kahāñ
sarkār  raushnī  kā  mazā  ham  se  pūchhiye
vo  jaan  hī  ga.e  ki  hameñ  un  se  pyaar  hai
āñkhoñ  kī  muḳhbirī  kā  mazā  ham  se  pūchhiye
hañsne  kā  shauq  ham  ko  bhī  thā  aap  kī  tarah
hañsiye  magar  hañsī  kā  mazā  ham  se  pūchhiye
ham  tauba  kar  ke  mar  ga.e  be-maut  ai  'ḳhumār'
tauhīn-e-mai-kashī  kā  mazā  ham  se  pūchhiye