mujh  ko  ye  jān-o-dil  qubūl  naġhme  ko  naġhma  hī  samajh
saaz  ye  bīt.tī  hai  kyā  ye  bhī  kabhī  kabhī  samajh
ishq  hai  tishnagī  kā  naam  toḌ  de  gar  mile  bhī  jaam
shiddat-e-tishnagī  na  dekh  lazzat-e-tishnagī  samajh
husn  kī  mehrbāniyāñ  ishq  ke  haq  meñ  zahr  haiñ
husn  ke  ijtināb  tak  ishq  kī  zindagī  samajh
tark-e-ta.alluqāt  bhī  ain-e-ta.alluqāt  hai
aag  bujhī  huī  na  jaan  aag  dabī  huī  samajh
aql  ke  kārobār  meñ  dil  ko  bhī  rakh  sharīk-e-kār
dil  ke  muāmalāt  meñ  aql  ko  ajnabī  samajh
ġhuncha-o-gul  ke  saath  saath  dil  kī  taraf  bhī  ik  nazar
shefta-e-shaguftagī  vaj.h-e-shaguftagī  samajh
aise  bhī  raaz  haiñ  'ḳhumār'  hote  nahīñ  jo  āshkār
apnī  hī  mushkileñ  na  dekh  un  kī  bhī  bebasī  samajh