vo  sivā  yaad  aa.e  bhulāne  ke  ba.ad
zindagī  baḌh  ga.ī  zahr  khāne  ke  ba.ad
dil  sulagtā  rahā  āshiyāne  ke  ba.ad
aag  ThanDī  huī  ik  zamāne  ke  ba.ad
raushnī  ke  liye  dil  jalānā  paḌā
aisī  zulmat  baḌhī  tere  jaane  ke  ba.ad
jab  na  kuchh  ban  paḌā  arz-e-ġham  kā  javāb
vo  ḳhafā  ho  ga.e  muskurāne  ke  ba.ad
dushmanoñ  se  pashemān  honā  paḌā
dostoñ  kā  ḳhulūs  āzmāne  ke  ba.ad
rañj  had  se  guzar  ke  ḳhushī  ban  gayā
ho  ga.e  paar  ham  Duub  jaane  ke  ba.ad
baḳhsh  de  yā  rab  ahl-e-havas  ko  bahisht
mujh  ko  kyā  chāhiye  tujh  ko  paane  ke  ba.ad
kaise  kaise  gile  yaad  aa.e  'ḳhumār'
un  ke  aane  se  qabl  un  ke  jaane  ke  ba.ad