akele  haiñ  vo  aur  jhuñjhlā  rahe  haiñ
mirī  yaad  se  jañg  farmā  rahe  haiñ
ye  kaisī  havā-e-taraqqī  chalī  hai
diye  to  diye  dil  bujhe  jā  rahe  haiñ
ilāhī  mire  dost  hoñ  ḳhairiyat  se
ye  kyuuñ  ghar  meñ  patthar  nahīñ  aa  rahe  haiñ
bahisht-e-tasavvur  ke  jalve  haiñ  maiñ  huuñ
judā.ī  salāmat  maze  aa  rahe  haiñ
qayāmat  ke  aane  meñ  rindoñ  ko  shak  thā
jo  dekhā  to  vaa.iz  chale  aa  rahe  haiñ
bahāroñ  meñ  bhī  mai  se  parhez  tauba
'ḳhumār'  aap  kāfir  hue  jā  rahe  haiñ