husn  jab  mehrbāñ  ho  to  kyā  kījiye
ishq  ke  maġhfirat  kī  duā  kījiye
is  salīqe  se  un  se  gila  kījiye
jab  gila  kījiye  hañs  diyā  kījiye
dūsroñ  par  agar  tabsira  kījiye
sāmne  aa.ina  rakh  liyā  kījiye
aap  sukh  se  haiñ  tark-e-ta.alluq  ke  ba.ad
itnī  jaldī  na  ye  faisla  kījiye
zindagī  kaT  rahī  hai  baḌe  chain  se
aur  ġham  hoñ  to  vo  bhī  atā  kījiye
koī  dhokā  na  khā  jaa.e  merī  tarah
aise  khul  ke  na  sab  se  milā  kījiye
aql  o  dil  apnī  apnī  kaheñ  jab  'ḳhumār'
aql  kī  suniye  dil  kā  kahā  kījiye