ham  unheñ  vo  hameñ  bhulā  baiThe
do  gunahgār  zahr  khā  baiThe
hāl-e-ġham  kah  ke  ġham  baḌhā  baiThe
tiir  maare  the  tiir  khā  baiThe
āñdhiyo  jaao  ab  karo  ārām
ham  ḳhud  apnā  diyā  bujhā  baiThe
jī  to  halkā  huā  magar  yaaro
ro  ke  ham  lutf-e-ġham  gañvā  baiThe
be-sahāroñ  kā  hausla  hī  kyā
ghar  meñ  ghabrā.e  dar  pe  aa  baiThe
jab  se  bichhḌe  vo  muskurā.e  na  ham
sab  ne  chheḌā  to  lab  hilā  baiThe
ham  rahe  mubtalā-e-dair-o-haram
vo  dabe  paañv  dil  meñ  aa  baiThe
uTh  ke  ik  bevafā  ne  de  dī  jaan
rah  ga.e  saare  bā-vafā  baiThe
hashr  kā  din  abhī  hai  duur  'ḳhumār'
aap  kyuuñ  zāhidoñ  meñ  jā  baiThe