jhunjhlā.e  haiñ  lajā.e  haiñ  phir  muskurā.e  haiñ
kis  ehtimām  se  unheñ  ham  yaad  aa.e  haiñ
dair-o-haram  ke  habs-kadoñ  ke  satā.e  haiñ
ham  aaj  mai-kade  kī  havā  khāne  aa.e  haiñ
ab  jā  ke  aah  karne  ke  ādāb  aa.e  haiñ
duniyā  samajh  rahī  hai  ki  ham  muskurā.e  haiñ
guzre  haiñ  mai-kade  se  jo  tauba  ke  ba.ad  ham
kuchh  duur  ādatan  bhī  qadam  laḌkhaḌā.e  haiñ
ai  josh-e-girya  dekh  na  karnā  ḳhajil  mujhe
āñkheñ  mirī  zarūr  haiñ  aañsū  parā.e  haiñ
ai  maut  ai  bahisht-e-sukūñ  aa  ḳhush-āmdīd
ham  zindagī  meñ  pahle  pahal  muskurā.e  haiñ
jitnī  bhī  mai-kade  meñ  hai  saaqī  pilā  de  aaj
ham  tishna-kām  zohd  ke  sahrā  se  aa.e  haiñ
insān  jīte-jī  kareñ  tauba  ḳhatāoñ  se
majbūriyoñ  ne  kitne  farishte  banā.e  haiñ
samjhāte  qabl-e-ishq  to  mumkin  thā  bantī  baat
nāseh  ġharīb  ab  hameñ  samjhāne  aa.e  haiñ
ka.abe  meñ  ḳhairiyat  to  hai  sab  hazrat-e-'ḳhumār'
ye  dair  hai  janāb  yahāñ  kaise  aa.e  haiñ