mujh  ko  shikast-e-dil  kā  mazā  yaad  aa  gayā
tum  kyuuñ  udaas  ho  ga.e  kyā  yaad  aa  gayā
kahne  ko  zindagī  thī  bahut  muḳhtasar  magar
kuchh  yuuñ  basar  huī  ki  ḳhudā  yaad  aa  gayā
vaa.iz  salām  le  ki  chalā  mai-kade  ko  maiñ
firdaus-e-gum-shuda  kā  patā  yaad  aa  gayā
barse  baġhair  hī  jo  ghaTā  ghir  ke  khul  ga.ī
ik  bevafā  kā  ahd-e-vafā  yaad  aa  gayā
māñgeñge  ab  duā  ki  use  bhuul  jaa.eñ  ham
lekin  jo  vo  ba-vaqt-e-duā  yaad  aa  gayā
hairat  hai  tum  ko  dekh  ke  masjid  meñ  ai  'ḳhumār'
kyā  baat  ho  ga.ī  jo  ḳhudā  yaad  aa  gayā