aisā  nahīñ  ki  un  se  mohabbat  nahīñ  rahī
jazbāt  meñ  vo  pahlī  sī  shiddat  nahīñ  rahī
zof-e-quvā  ne  āmad-e-pīrī  kī  dī  naved
vo  dil  nahīñ  rahā  vo  tabī.at  nahīñ  rahī
sar  meñ  vo  intizār  kā  saudā  nahīñ  rahā
dil  par  vo  dhaḌkanoñ  kī  hukūmat  nahīñ  rahī
kamzorī-e-nigāh  ne  sanjīda  kar  diyā
jalvoñ  se  chheḌ-chhāḌ  kī  aadat  nahīñ  rahī
hāthoñ  se  intiqām  liyā  irti.āsh  ne
dāmān-e-yār  se  koī  nisbat  nahīñ  rahī
paiham  tavāf-e-kūcha-e-jānāñ  ke  din  ga.e
pairoñ  meñ  chalne  phirne  kī  tāqat  nahīñ  rahī
chehre  ko  jhurriyoñ  ne  bhayānak  banā  diyā
ā.īna  dekhne  kī  bhī  himmat  nahīñ  rahī
allāh  jaane  maut  kahāñ  mar  ga.ī  'ḳhumār'
ab  mujh  ko  zindagī  kī  zarūrat  nahīñ  rahī