pī  pī  ke  jagmagā.e  zamāne  guzar  ga.e
rātoñ  ko  din  banā.e  zamāne  guzar  ga.e
jān-e-bahār  phuul  nahīñ  aadmī  huuñ  maiñ
aa  jā  ki  muskurā.e  zamāne  guzar  ga.e
kyā  lā.iq-e-sitam  bhī  nahīñ  ab  maiñ  dosto
patthar  bhī  ghar  meñ  aa.e  zamāne  guzar  ga.e
o  jaane  vaale  aa  ki  tire  intizār  meñ
raste  ko  ghar  banā.e  zamāne  guzar  ga.e
ġham  hai  na  ab  ḳhushī  hai  na  ummīd  hai  na  yaas
sab  se  najāt  paa.e  zamāne  guzar  ga.e
marne  se  vo  Dareñ  jo  ba-qaid-e-hayāt  haiñ
mujh  ko  to  maut  aa.e  zamāne  guzar  ga.e
kyā  kyā  tavaqquāt  thiiñ  aahoñ  se  ai  'ḳhumār'
ye  tiir  bhī  chalā.e  zamāne  guzar  ga.e