hañsne  vaale  ab  ek  kaam  kareñ
jashn-e-girya  kā  ehtimām  kareñ
ham  bhī  kar  leñ  jo  raushnī  ghar  meñ
phir  añdhere  kahāñ  qayām  kareñ
mujh  ko  mahrūmī-e-nazzāra  qubūl
aap  jalve  na  apne  aam  kareñ
ik  guzārish  hai  hazrat-e-nāseh
aap  ab  aur  koī  kaam  kareñ
aa  chaleñ  us  ke  dar  pe  ab  ai  dil
zindagī  kā  safar  tamām  kareñ
haath  uThtā  nahīñ  hai  dil  se  'ḳhumār'
ham  unheñ  kis  tarah  salām  kareñ