bujh  gayā  dil  hayāt  baaqī  hai
chhup  gayā  chāñd  raat  baaqī  hai
hāl-e-dil  un  se  kah  chuke  sau  baar
ab  bhī  kahne  kī  baat  baaqī  hai
ai  ḳhushā  ḳhatam-e-ijtināb  magar
mahshar-e-iltifāt  baaqī  hai
ishq  meñ  ham  samajh  chuke  sab  se
ek  zālim  hayāt  baaqī  hai
nāsehān-e-karām  ke  dam  se
shorish-e-kā.enāt  baaqī  hai
raat  baaqī  thī  jab  vo  bichhḌe  the
kaT  ga.ī  umr  raat  baaqī  hai
rahmat-e-be-panāh  ke  sadqe
e'timād-e-najāt  baaqī  hai
na  vo  dil  hai  na  vo  shabāb  'ḳhumār'
kis  liye  ab  hayāt  baaqī  hai