ġham  duniyā  bahut  īzā-rasāñ  hai
kahāñ  hai  ai  ġham-e-jānāñ  kahāñ  hai
ik  aañsū  kah  gayā  sab  haal  dil  kā
na  samjhā  thā  ye  zālim  be-zabāñ  hai
ḳhudā  mahfūz  rakhte  āfatoñ  se
ka.ī  din  se  tabī.at  shādmāñ  hai
vo  kāñTā  hai  jo  chubh  kar  TuuT  jaa.e
mohabbat  kī  bas  itnī  dāstāñ  hai
ye  maanā  zindagī  kāmil  hai  lekin
agar  aa  jaa.e  jiinā  jāvedāñ  hai
salām  āḳhir  hai  ahl-e-anjuman  ko
ḳhumār  ab  ḳhatm  apnī  dāstāñ  hai