kabhī  sher-o-naġhma  ban  ke  kabhī  āñsuoñ  meñ  Dhal  ke
vo  mujhe  mile  to  lekin  mile  sūrateñ  badal  ke
ye  vafā  kī  saḳht  rāheñ  ye  tumhāre  pā-e-nāzuk
na  lo  intiqām  mujh  se  mire  saath  saath  chal  ke
vahī  aañkh  be-bahā  hai  jo  ġham-e-jahāñ  meñ  Duube
vahī  jaam  jaam  hai  jo  baġhair  farq  chhalke
na  to  hosh  se  ta.āruf  na  junūñ  se  āshnā.ī
ye  kahāñ  pahuñch  ga.e  ham  tirī  bazm  se  nikal  ke
ye  charāġh-e-anjuman  to  haiñ  bas  ek  shab  ke  mehmāñ
tū  jalā  vo  sham.a  ai  dil  jo  bujhe  kabhī  na  jal  ke
koī  ai  'ḳhumār'  un  ko  mire  sher  nazr  kar  de
jo  muḳhālifīn  muḳhlis  nahīñ  mo'tarif  ġhazal  ke