Khumar Barabankavi

hijr ki shab hai aur ujala hai

Khumar Barabankavi

Barabanki, Uttar pradesh, India

1919-1999
hijr kī shab hai aur ujālā hai
kyā tasavvur bhī luTne vaalā hai
ġham to hai ain-e-zindagī lekin
ġham-gusāroñ ne maar Daalā hai
ishq majbūr o nā-murād sahī
phir bhī zālim kā bol-bālā hai
dekh kar barq kī pareshānī
āshiyāñ ḳhud hī phūñk Daalā hai
kitne ashkoñ ko kitnī aahoñ ko
ik tabassum meñ us ne Dhālā hai
terī bātoñ ko maiñ ne ai vaa.iz
ehtirāman hañsī meñ Taalā hai
maut aa.e to din phireñ shāyad
zindagī ne to maar Daalā hai
sher naġhma shaguftagī mastī
ġham kā jo ruup hai nirālā hai
laġhzisheñ muskurā.ī haiñ kyā kyā
hosh ne jab mujhe sambhālā hai
dam añdhere meñ ghuT rahā hai 'ḳhumār'
aur chāroñ taraf ujālā hai
Top Urdushayar.com