hijr  kī  shab  hai  aur  ujālā  hai
kyā  tasavvur  bhī  luTne  vaalā  hai
ġham  to  hai  ain-e-zindagī  lekin
ġham-gusāroñ  ne  maar  Daalā  hai
ishq  majbūr  o  nā-murād  sahī
phir  bhī  zālim  kā  bol-bālā  hai
dekh  kar  barq  kī  pareshānī
āshiyāñ  ḳhud  hī  phūñk  Daalā  hai
kitne  ashkoñ  ko  kitnī  aahoñ  ko
ik  tabassum  meñ  us  ne  Dhālā  hai
terī  bātoñ  ko  maiñ  ne  ai  vaa.iz
ehtirāman  hañsī  meñ  Taalā  hai
maut  aa.e  to  din  phireñ  shāyad
zindagī  ne  to  maar  Daalā  hai
sher  naġhma  shaguftagī  mastī
ġham  kā  jo  ruup  hai  nirālā  hai
laġhzisheñ  muskurā.ī  haiñ  kyā  kyā
hosh  ne  jab  mujhe  sambhālā  hai
dam  añdhere  meñ  ghuT  rahā  hai  'ḳhumār'
aur  chāroñ  taraf  ujālā  hai