suḳhan-varī  hameñ  kab  tajribe  se  aa.ī  hai
zabāñ  meñ  chāshnī  dil  TūTne  se  aa.ī  hai
jidhar  se  merā  badan  dhuup  chaaT  kar  guzrā
havā-e-sard  usī  rāste  se  aa.ī  hai
taḌaptā  maiñ  huuñ  pasīna  hai  us  ke  māthe  par
shikast-e-dil  kī  sadā  aa.ine  se  aa.ī  hai
khulā  subūt  hai  ye  dushmanoñ  ke  shab-ḳhūñ  kā
ki  dhuul  Thahre  hue  qāfile  se  aa.ī  hai
safar  meñ  saath  mirā  aur  koī  kyā  detā
havā  bhī  merī  taraf  sāmne  se  aa.ī  hai
sahar  ne  mujh  ko  'muzaffar'  nahīñ  kiyā  saiqal
mirī  nazar  meñ  chamak  ratjage  se  aa.ī  hai