kuchh  aisā  utrā  maiñ  us  sañg-dil  ke  shīshe  meñ
ki  chand  saañs  bhī  aa.e  na  apne  hisse  meñ
vo  ek  aise  samundar  ke  ruup  meñ  aayā
ki  umr  kaT  ga.ī  jis  ko  ubuur  karne  meñ
mujhe  ḳhud  apnī  talab  kā  nahīñ  hai  andāza
ye  kā.enāt  bhī  thoḌī  hai  mere  kaase  meñ
milī  to  hai  mirī  tanhā.iyoñ  ko  āzādī
juḌī  huī  haiñ  kuchh  āñkheñ  magar  darīche  meñ
ġhanīm  bhī  koī  mujh  ko  nazar  nahīñ  aatā
ghirā  huā  bhī  huuñ  chāroñ  taraf  se  ḳhatre  meñ
mirā  shu.ūr  bhī  shāyad  vo  tifl-e-kam-sin  hai
bichhaḌ  gayā  hai  jo  gumrāhiyoñ  ke  mele  meñ
hunar  hai  shā.irī  shatranj  shauq  hai  merā
ye  jā.idād  'muzaffar'  milī  hai  virse  meñ