ye  faisla  to  bahut  ġhair-munsifāna  lagā
hamārā  sach  bhī  adālat  ko  bāġhiyāna  lagā
hamāre  ḳhuun  se  bhī  us  kī  ḳhushbueñ  phūTīñ
hameñ  to  qatl  bhī  kar  ke  vo  bevafā  na  lagā
lagā.ī  aag  bhī  is  ehtimām  se  us  ne
hamārā  jaltā  huā  ghar  nigār-ḳhāna  lagā
ham  itnā  ruuh  kī  gahrā.iyoñ  ke  aadī  the
ki  Dūbtā  huā  dil  Dūbtā  huā  na  lagā
ye  ḳhaam  maal  milegā  bahut  hī  kam  dāmoñ
lahū  ho  jis  kī  zarūrat  vo  kārḳhāna  lagā
kisī  bhī  shaḳhs  se  jab  us  kī  ḳhairiyat  pūchhī
to  apnā  lahja-e-pursish  bhī  tāziyāna  lagā
ye  kaun  log  'muzaffar'  kī  kar  rahe  the  burā.ī
mile  haiñ  ham  bhī  bahut  ham  ko  vo  burā  na  lagā