jī  bahaltā  hī  nahīñ  saañs  kī  jhankāroñ  se
phoḌ  luuñ  sar  na  kahīñ  jism  kī  dīvāroñ  se
apne  riste  hue  zaḳhmoñ  pe  chhiḌak  letā  huuñ
raakh  jhaḌtī  hai  jo  ehsās  ke  añgāroñ  se
giit  gā.ūñ  to  lapak  jaate  haiñ  sho.ale  dil  meñ
saaz  chheḌūñ  to  nikaltā  hai  dhuāñ  tāroñ  se
kāsa-e-sar  liye  phirtī  haiñ  vafā.eñ  ab  bhī
ab  bhī  teshoñ  kī  sadā  aatī  hai  kohsāroñ  se
zinda  lāsheñ  bhī  dukānoñ  meñ  sajī  haiñ  shāyad
bū-e-ḳhūñ  aatī  hai  khulte  hue  bāzāroñ  se
kyā  mire  aks  meñ  chhup  jā.eñge  un  ke  chehre
itnā  pūchhe  koī  un  ā.ina-bardāroñ  se
pyaar  har-chand  jhalaktā  hai  un  āñkhoñ  se  magar
zaḳhm  bharte  haiñ  'muzaffar'  kahīñ  talvāroñ  se