Hema Kandpal Hiya

sarson ke kheton mein apne kaghaz dhani karte karte

Hema Kandpal Hiya

sarsoñ ke khetoñ meñ apne kāġhaz dhānī karte karte
ġhazleñ saarī likkhī ham ne ḳhuuñ ko paanī karte karte
majbūrī ke chāval bhūne lāchārī do muTThī Daalī
ham ne khāyā ġham ko apne phir guḌ-dhānī karte karte
is duniyā meñ jo bhī bhāyā us ko ham ne ḳhud sā samjhā
ik arsa biitā hai ham ko ye nādānī karte karte
kyoñ dariyā bhar misra-e-ūlā us kī mayyat par thā royā
jis shā.ir kā dam niklā thā misra-e-sānī karte karte
pahle un se duurī rakkhī phir ḳhud hī thā iz.hār kiyā
aise dil ne chāhā un ko ānā-kānī karte karte
sab ke man kī karte karte jaane biitī kitnī sadiyāñ
ham ko to jiinā thā yaaro bas man-mānī karte karte
ġham ke mausam meñ kyoñ kar lī ham ne in ġhazloñ se yaarī
ab to saarī umr kaTegī ashk-bayānī karte karte
Top Urdushayar.com