parindoñ  kā  shajar  ko  chhoḌ  kar  jaanā  zarūrī  thā
ki  taa.ir  ko  ḳhizāñ  kā  ḳhauf  bhī  khānā  zarūrī  thā
kahānī  maiñ  sunātī  roz  ik  us  ko  rihā.ī  kī
qafas  meñ  qaid  dil  ko  ḳhvāb  dikhlānā  zarūrī  thā
jo  hotī  itr  maiñ  to  bas  hī  jaatī  jism  meñ  tere
maiñ  thī  tulsī  mirā  āñgan  ko  mahkānā  zarūrī  thā
hazāroñ  hasrateñ  haiñ  ḳhvāhisheñ  haiñ  qaid  jab  dil  meñ
mujhe  pā  kar  tirā  un  ko  bhī  to  paanā  zarūrī  thā
kiyā  botal  meñ  dil  ko  qaid  phir  pheñkā  samundar  meñ
mire  siine  se  dil  kā  duur  ho  jaanā  zarūrī  thā
batā  kar  duudh  jab  paanī  diyā  thā  saath  roTī  ke
yuuñ  maañ  kā  raat  phir  bachchoñ  ko  bahlānā  zarūrī  thā
aziyyat  raat  khāne  meñ  parosī  muflisī  ke  saath
'hiyā'  kā  hausla  phir  saath  meñ  khānā  zarūrī  thā