bas  ye  huā  ki  rishtoñ  ke  sab  haath  kaT  ga.e
ham  log  apne-āp  hī  aapas  meñ  baT  ga.e
āsār-e-mumkināt  the  jitne  vo  ghaT  ga.e
sūraj  nikal  ke  aayā  to  kohre  bhī  chhaT  ga.e
ye  buz-dilī  thī  apnī  ki  kuchh  bhī  nahīñ  kahā
hone  diyā  jo  honā  thā  raste  se  haT  ga.e
un  se  to  jā  ke  milnā  bhī  dushvār  ho  gayā
masrūfiyat  ke  naam  pe  ham  bhī  simaT  ga.e
ham  kyā  kaheñ  ki  kaise  himāqat  ye  ho  ga.ī
jo  thā  sabaq  bhulāne  kā  us  ko  bhī  raT  ga.e
dīvār-o-dar  se  ab  bhī  rifāqat  vahī  rahī
tanhā.iyoñ  meñ  aa.e  to  un  se  lipaT  ga.e
'ḳhurshīd'  us  pe  sochiye  kis  kā  qusūr  hai
āsūdgī  ke  lamhe  bhī  aa  kar  palaT  ga.e