na  ham-āhañg-e-masīhā  na  harīf-e-jibrīl
terā  shā.ir  ki  hai  zindāni-e-gesū-e-jamīl
kis  kī  āñkhoñ  meñ  ye  ġhaltāñ  hai  javānī  kī  sharāb
khol  dī  aah  ye  kis  ne  mai-e-gul-gūñ  kī  sabīl
kis  taraf  jaa.e  kahāñ  jaa.e  batā  do  koī
zulf-e-pur-ḳham  kā  giraftār  nigāhoñ  kā  qatīl
ālam-e-yās  meñ  kyā  chiiz  hai  ik  sāġhar-e-mai
dasht-e-zulmāt  meñ  jis  tarah  ḳhizr  kī  qindīl
kitnī  dushvār  hai  pīrān-e-haram  kī  manzil
is  taraf  fitna-e-iblīs  udhar  rabb-e-jalīl
uf  ye  tūfān-e-nashāt  aur  mirī  tab-e-hazīñ
aah  ye  yūrish-e-nāz  aur  maiñ  majrūh  o  aliil
aah  vo  hosh  kā  aalam  vo  ġhamoñ  kā  tūfāñ
uf  ye  mastī  ki  hai  phir  hosh  meñ  aane  kī  dalīl