ye  tīrgī-e-shab  hī  kuchh  sub.h-tarāz  aatī
ḳhud  vāda-e-fardā  kī  chhātī  bhī  dhaḌak  jaatī
hoñToñ  pe  hañsī  paiham  aate  hue  sharmātī
ab  raat  nahīñ  kaTtī  ab  niiñd  nahīñ  aatī
jo  avval  o  āḳhir  thā  vo  avval  o  āḳhir  hai
maiñ  nāla-ba-jāñ  uThtā  vo  naġhma-ba-sāz  aatī
soz-e-shab-e-hijrāñ  phir  soz-e-shab-e-hijrāñ  hai
shabnam  ba-mizha  uThtī  yā  zulf-e-darāz  aatī
yā-rab  vo  javānī  bhī  kyā  mahshar-e-armāñ  thī
añgḌā.ī  bhī  jab  letī  ek  aañkh  jhapak  jaatī
āġhāz-e-siyah-mastī  anjām-e-siyah-mastī
ā.īne  meñ  sūrat  bhī  aane  kī  qasam  khātī
siine  meñ  'majāz'  ab  tak  vo  jazba-e-kāfir  thā
taslīs  kī  joinda  vahdat  kī  qasam  khātī