sāqi-e-gulfām  bā-sad  ehtimām  aa  hī  gayā
naġhma  bar  lab  ḳhum  ba  sar  baada  ba  jaam  aa  hī  gayā
apnī  nazroñ  meñ  nashāt-e-jalva-e-ḳhūbāñ  liye
ḳhalvati-e-ḳhās  sū-e-bazm-e-ām  aa  hī  gayā
merī  duniyā  jagmagā  uTThī  kisī  ke  nuur  se
mere  gardūñ  par  mirā  māh-e-tamām  aa  hī  gayā
jhuum  jhuum  uTThe  shajar  kaliyoñ  ne  āñkheñ  khol  diiñ
jānib-e-gulshan  koī  mast-e-ḳhirām  aa  hī  gayā
phir  kisī  ke  sāmne  chashm-e-tamannā  jhuk  ga.ī
shauq  kī  shoḳhī  meñ  rañg-e-ehtarām  aa  hī  gayā
merī  shab  ab  merī  shab  hai  merā  baada  mere  jaam
vo  mirā  sarv-e-ravāñ  māh-e-tamām  aa  hī  gayā
bār-hā  aisā  huā  hai  yaad  tak  dil  meñ  na  thī
bār-hā  mastī  meñ  lab  par  un  kā  naam  aa  hī  gayā
zindagī  ke  ḳhāka-e-sāda  ko  rañgīñ  kar  diyā
husn  kaam  aa.e  na  aa.e  ishq  kaam  aa  hī  gayā
khul  ga.ī  thī  saaf  gardūñ  kī  haqīqat  ai  'majāz'
ḳhairiyat  guzrī  ki  shāhīñ  zer-e-dām  aa  hī  gayā