Asrarul Haq Majaz

nigah-e-lutf mat uTh KHugar-e-alam rahne de

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
nigāh-e-lutf mat uTh ḳhūgar-e-ālām rahne de
hameñ nākām rahnā hai hameñ nākām rahne de
kisī ma.asūm par be-dād kā ilzām kyā ma.anī
ye vahshat-ḳhez bāteñ ishq-e-bad-anjām rahne de
abhī rahne de dil meñ shauq-e-shorīda ke hañgāme
abhī sar meñ mohabbat kā junūn-e-ḳhām rahne de
abhī rahne de kuchh din lutf-e-naġhma mastī-e-sahbā
abhī ye saaz rahne de abhī ye jaam rahne de
kahāñ tak husn bhī āḳhir kare pās-e-ravā-dārī
agar ye ishq ḳhud hī farq-e-ḳhās-o-ām rahne de
ba-īñ rindī 'majāz' ik shā.er-e-mazdūr-o-dahqāñ hai
agar shahroñ meñ vo bad-nām hai bad-nām rahne de
Top Urdushayar.com