husn  phir  fitnagar  hai  kyā  kahiye
dil  kī  jānib  nazar  hai  kyā  kahiye
phir  vahī  rahguzar  hai  kyā  kahiye
zindagī  raah  par  hai  kyā  kahiye
husn  ḳhud  parda-var  hai  kyā  kahiye
ye  hamārī  nazar  hai  kyā  kahiye
aah  to  be-asar  thī  barsoñ  se
naġhma  bhī  be-asar  hai  kyā  kahiye
husn  hai  ab  na  husn  ke  jalve
ab  nazar  hī  nazar  hai  kyā  kahiye
aaj  bhī  hai  'majāz'  ḳhāk-nashīñ
aur  nazar  arsh  par  hai  kyā  kahiye