mirī  vafā  kā  tirā  lutf  bhī  javāb  nahīñ
mire  shabāb  kī  qīmat  tirā  shabāb  nahīñ
ye  māhtāb  nahīñ  hai  ki  āftāb  nahīñ
sabhī  hai  husn  magar  ishq  kā  javāb  nahīñ
mirī  nigāh  meñ  jalve  haiñ  jalve  hī  jalve
yahāñ  hijāb  nahīñ  hai  yahāñ  naqāb  nahīñ
junūñ  bhī  had  se  sivā  shauq  bhī  hai  had  se  sivā
ye  baat  kyā  hai  ki  maiñ  maurid-e-itāb  nahīñ
yahāñ  to  husn  kā  dil  bhī  hai  ġham  se  sad  paara
maiñ  kāmyāb  nahīñ  vo  bhī  kāmyāb  nahīñ
yahāñ  to  raat  kī  bedāriyāñ  musallam  haiñ
magar  vahāñ  bhī  hasīñ  añkhḌiyoñ  meñ  ḳhvāb  nahīñ
na  pūchhiye  mirī  duniyā  ko  merī  duniyā  meñ
ḳhud  āftāb  bhī  zarra  hai  āftāb  nahīñ
sab  hī  haiñ  mai-kada-e-dahr  meñ  ḳhirad  vaale
koī  ḳharāb  nahīñ  hai  koī  ḳharāb  nahīñ
'majāz'  kis  ko  maiñ  samjhā.ūñ  koī  kyā  samjhe
ki  kāmyāb-e-mohabbat  bhī  kāmyāb  nahīñ