junūn-e-shauq  ab  bhī  kam  nahīñ  hai
magar  vo  aaj  bhī  barham  nahīñ  hai
bahut  mushkil  hai  duniyā  kā  sañvarnā
tirī  zulfoñ  kā  pech-o-ḳham  nahīñ  hai
bahut  kuchh  aur  bhī  hai  is  jahāñ  meñ
ye  duniyā  mahz  ġham  hī  ġham  nahīñ  hai
taqāze  kyuuñ  karūñ  paiham  na  saaqī
kise  yaañ  fikr-e-besh-o-kam  nahīñ  hai
udhar  mashkūk  hai  merī  sadāqat
idhar  bhī  bad-gumānī  kam  nahīñ  hai
mirī  barbādiyoñ  kā  ham-nashīno
tumheñ  kyā  ḳhud  mujhe  bhī  ġham  nahīñ  hai
abhī  bazm-e-tarab  se  kyā  uThūñ  maiñ
abhī  to  aañkh  bhī  pur-nam  nahīñ  hai
ba-īñ  sail-e-ġham  o  sail-e-havādis
mirā  sar  hai  ki  ab  bhī  ḳham  nahīñ  hai
'majāz'  ik  bāda-kash  to  hai  yaqīnan
jo  ham  sunte  the  vo  aalam  nahīñ  hai