yūñhī  baiThe  raho  bas  dard-e-dil  se  be-ḳhabar  ho  kar
bano  kyuuñ  chārāgar  tum  kyā  karoge  chārāgar  ho  kar
dikhā  de  ek  din  ai  husn-e-rañgīñ  jalva-gar  ho  kar
vo  nazzāra  jo  in  āñkhoñ  meñ  rah  jaa.e  nazar  ho  kar
dil-e-soz-āshnā  ke  jalve  the  jo  muntashir  ho  kar
fazā-e-dahr  meñ  chamkā  kiye  barq  o  sharar  ho  kar
vahī  jalve  jo  ik  din  dāman-e-dil  se  gurezāñ  the
nazar  meñ  rah  ga.e  gul-hā-e-dāmān-e-nazar  ho  kar
falak  kī  samt  kis  hasrat  se  takte  haiñ  ma.āz-allāh
ye  naale  nā-rasā  ho  kar  ye  aaheñ  be-asar  ho  kar
ye  kis  ke  husn  ke  rañgīn  jalve  chhā.e  jaate  haiñ
shafaq  kī  surḳhiyāñ  ban  kar  tajallī  kī  sahar  ho  kar