bas  is  taqsīr  par  apne  muqaddar  meñ  hai  mar  jaanā
tabassum  ko  tabassum  kyuuñ  nazar  ko  kyuuñ  nazar  jaanā
ḳhirad  vāloñ  se  husn  o  ishq  kī  tanqīd  kyā  hogī
na  afsūn-e-nigah  samjhā  na  andāz-e-nazar  jaanā
mai-e-gulfām  bhī  hai  sāz-e-ishrat  bhī  hai  saaqī  bhī
bahut  mushkil  hai  āshob-e-haqīqat  se  guzar  jaanā
ġham-e-daurāñ  meñ  guzrī  jis  qadar  guzrī  jahāñ  guzrī
aur  is  par  lutf  ye  hai  zindagī  ko  muḳhtasar  jaanā