ḳhud  dil  meñ  rah  ke  aañkh  se  parda  kare  koī
haañ  lutf  jab  hai  pā  ke  bhī  DhūñDā  kare  koī
tum  ne  to  hukm-e-tark-e-tamannā  sunā  diyā
kis  dil  se  aah  tark-e-tamannā  kare  koī
duniyā  laraz  ga.ī  dil-e-hirmāñ-nasīb  kī
is  tarah  sāz-e-aish  na  chheḌā  kare  koī
mujh  ko  ye  aarzū  vo  uThā.eñ  naqāb  ḳhud
un  ko  ye  intizār  taqāzā  kare  koī
rañgīni-e-naqāb  meñ  gum  ho  ga.ī  nazar
kyā  be-hijābiyoñ  kā  taqāzā  kare  koī
yā  to  kisī  ko  jur.at-e-dīdār  hī  na  ho
yā  phir  mirī  nigāh  se  dekhā  kare  koī
hotī  hai  is  meñ  husn  kī  tauhīn  ai  'majāz'
itnā  na  ahl-e-ishq  ko  rusvā  kare  koī