nahīñ  ye  fikr  koī  rahbar-e-kāmil  nahīñ  miltā
koī  duniyā  meñ  mānūs-e-mizāj-e-dil  nahīñ  miltā
kabhī  sāhil  pe  rah  kar  shauq  tūfānoñ  se  Takrā.eñ
kabhī  tūfāñ  meñ  rah  kar  fikr  hai  sāhil  nahīñ  miltā
ye  aanā  koī  aanā  hai  ki  bas  rasman  chale  aa.e
ye  milnā  ḳhaak  milnā  hai  ki  dil  se  dil  nahīñ  miltā
shikasta-pā  ko  muzhda  ḳhastagān-e-rāh  ko  muzhda
ki  rahbar  ko  surāġh-e-jāda-e-manzil  nahīñ  miltā
vahāñ  kitnoñ  ko  taḳht  o  taaj  kā  armāñ  hai  kyā  kahiye
jahāñ  saa.il  ko  aksar  kāsa-e-sā.il  nahīñ  miltā
ye  qatl-e-ām  aur  be-izn  qatl-e-ām  kyā  kahiye
ye  bismil  kaise  bismil  haiñ  jinheñ  qātil  nahīñ  miltā