aql  kī  sat.h  se  kuchh  aur  ubhar  jaanā  thā
ishq  ko  manzil-e-pastī  se  guzar  jaanā  thā
jalve  the  halqa-e-sar  dām-e-nazar  se  bāhar
maiñ  ne  har  jalve  ko  pāband-e-nazar  jaanā  thā
husn  kā  ġham  bhī  hasīñ  fikr  hasīñ  dard  hasīñ
un  ko  har  rañg  meñ  har  taur  sañvar  jaanā  thā
husn  ne  shauq  ke  hañgāme  to  dekhe  the  bahut
ishq  ke  dāva-e-taqdīs  se  Dar  jaanā  thā
ye  to  kyā  kahiye  chalā  thā  maiñ  kahāñ  se  hamdam
mujh  ko  ye  bhī  na  thā  ma.alūm  kidhar  jaanā  thā
husn  aur  ishq  ko  de  tāna-e-bedād  'majāz'
tum  ko  to  sirf  isī  baat  par  mar  jaanā  thā