rah-e-shauq  se  ab  haTā  chāhtā  huuñ
kashish  husn  kī  dekhnā  chāhtā  huuñ
koī  dil  sā  dard-āshnā  chāhtā  huuñ
rah-e-ishq  meñ  rahnumā  chāhtā  huuñ
tujhī  se  tujhe  chhīnnā  chāhtā  huuñ
ye  kyā  chāhtā  huuñ  ye  kyā  chāhtā  huuñ
ḳhatāoñ  pe  jo  mujh  ko  maa.il  kare  phir
sazā  aur  aisī  sazā  chāhtā  huuñ
vo  maḳhmūr  nazreñ  vo  mad.hosh  āñkheñ
ḳharāb-e-mohabbat  huā  chāhtā  huuñ
vo  āñkheñ  jhukīñ  vo  koī  muskurāyā
payām-e-mohabbat  sunā  chāhtā  huuñ
tujhe  DhūñDhtā  huuñ  tirī  justujū  hai
mazā  hai  ki  ḳhud  gum  huā  chāhtā  huuñ
ye  maujoñ  kī  be-tābiyāñ  kaun  dekhe
maiñ  sāhil  se  ab  lauTnā  chāhtā  huuñ
kahāñ  kā  karam  aur  kaisī  ināyat
'majāz'  ab  jafā  hī  jafā  chāhtā  huuñ