kamāl-e-ishq  hai  dīvāna  ho  gayā  huuñ  maiñ
ye  kis  ke  haath  se  dāman  chhuḌā  rahā  huuñ  maiñ
tumhīñ  to  ho  jise  kahtī  hai  nāḳhudā  duniyā
bachā  sako  to  bachā  lo  ki  Dūbtā  huuñ  maiñ
ye  mere  ishq  kī  majbūriyāñ  ma.āz-allāh
tumhārā  raaz  tumhīñ  se  chhupā  rahā  huuñ  maiñ
is  ik  hijāb  pe  sau  be-hijābiyāñ  sadqe
jahāñ  se  chāhtā  huuñ  tum  ko  dekhtā  huuñ  maiñ
batāne  vaale  vahīñ  par  batāte  haiñ  manzil
hazār  baar  jahāñ  se  guzar  chukā  huuñ  maiñ
kabhī  ye  zom  ki  tū  mujh  se  chhup  nahīñ  saktā
kabhī  ye  vahm  ki  ḳhud  bhī  chhupā  huā  huuñ  maiñ
mujhe  sune  na  koī  mast-e-bāada-e-ishrat
'majāz'  TuuTe  hue  dil  kī  ik  sadā  huuñ  maiñ