karishma-sāzī-e-dil  dekhtā  huuñ
tumheñ  apne  muqābil  dekhtā  huuñ
jahāñ  manzil  kā  imkāñ  hī  nahīñ  hai
vahāñ  āsār-e-manzil  dekhtā  huuñ
sadā  dī  tū  ne  kyā  jaane  kahāñ  se
magar  maiñ  jānib-e-dil  dekhtā  huuñ
kahāñ  kā  rahnumā  aur  kaisī  rāheñ
jidhar  baḌhtā  huuñ  manzil  dekhtā  huuñ
ishārā  hai  tirā  tūfāñ  kī  jānib
magar  maiñ  huuñ  ki  sāhil  dekhtā  huuñ
mohabbat  hī  mohabbat  hai  jahāñ  par
mohabbat  kī  vo  manzil  dekhtā  huuñ
mire  hāthoñ  meñ  bhī  hai  saaz  lekin
abhī  maiñ  rañg-e-mahfil  dekhtā  huuñ
tire  hāthoñ  se  jo  TuuTā  thā  ik  din
vahī  TuuTā  huā  dil  dekhtā  huuñ
kabhī  tūfāñ  hī  tūfāñ  hai  nazar  meñ
kabhī  sāhil  hī  sāhil  dekhtā  huuñ
ġhurūr-e-husn-e-bātil  par  nazar  hai
niyāz-e-ishq-e-kāmil  dekhtā  huuñ
'majāz'  aur  husn  ke  qadmoñ  pe  sajde
ma.āl-e-zo.am-e-bātil  dekhtā  huuñ