saarā  aalam  gosh-bar-āvāz  hai
aaj  kin  hāthoñ  meñ  dil  kā  saaz  hai
tū  jahāñ  hai  zamzama-pardāz  hai
dil  jahāñ  hai  gosh-bar-āvāz  hai
haañ  zarā  jur.at  dikhā  ai  jazb-e-dil
husn  ko  parde  pe  apne  naaz  hai
ham-nashīñ  dil  kī  haqīqat  kyā  kahūñ
soz  meñ  Duubā  huā  ik  saaz  hai
aap  kī  maḳhmūr  āñkhoñ  kī  qasam
merī  mai-ḳhvārī  abhī  tak  raaz  hai
hañs  diye  vo  mere  rone  par  magar
un  ke  hañs  dene  meñ  bhī  ik  raaz  hai
chhup  ga.e  vo  sāz-e-hastī  chheḌ  kar
ab  to  bas  āvāz  hī  āvāz  hai
husn  ko  nāhaq  pashemāñ  kar  diyā
ai  junūñ  ye  bhī  koī  andāz  hai
saarī  mahfil  jis  pe  jhuum  uTThī  'majāz'
vo  to  āvāz-e-shikast-e-sāz  hai