sāzgār  hai  hamdam  in  dinoñ  jahāñ  apnā
ishq  shādmāñ  apnā  shauq  kāmrāñ  apnā
aah  be-asar  kis  kī  naala  nā-rasā  kis  kā
kaam  bār-hā  aayā  jazba-e-nihāñ  apnā
kab  kiyā  thā  is  dil  par  husn  ne  karam  itnā
mehrbāñ  aur  is  darja  kab  thā  āsmāñ  apnā
uljhanoñ  se  ghabrā.e  mai-kade  meñ  dar  aa.e
kis  qadar  tan-āsāñ  hai  zauq-e-rā.egāñ  apnā
kuchh  na  pūchh  ai  hamdam  in  dinoñ  mirā  aalam
mutrib-e-hasīñ  apnā  sāqi-e-javāñ  apnā
ishq  aur  rusvā.ī  kaun  sī  na.ī  shai  hai
ishq  to  azal  se  thā  rusvā-e-jahāñ  apnā
tum  'majāz'  dīvāne  maslahat  se  begāne
varna  ham  banā  lete  tum  ko  rāz-dāñ  apnā