ye  jahāñ  bārgah-e-ritl-girāñ  hai  saaqī
ik  jahannam  mire  siine  meñ  tapāñ  hai  saaqī
jis  ne  barbād  kiyā  mā.il-e-fariyād  kiyā
vo  mohabbat  abhī  is  dil  meñ  javāñ  hai  saaqī
ek  din  aadam  o  havvā  bhī  kiye  the  paidā
vo  uḳhuvvat  tirī  mahfil  meñ  kahāñ  hai  saaqī
har  chaman  dāman-e-gul-rañg  hai  ḳhūn-e-dil  se
har  taraf  shevan-o-fariyād-o-fuġhāñ  hai  saaqī
maah  o  anjum  mire  ashkoñ  se  guhar-tāb  hue
kahkashāñ  nuur  kī  ek  jū-e-ravāñ  hai  saaqī
husn  hī  husn  hai  jis  samt  bhī  uThtī  hai  nazar
kitnā  pur-kaif  ye  manzar  ye  samāñ  hai  saaqī
zamzama  saaz  kā  paa.el  kī  chhanāke  kī  tarah
behtar-az-shorish-e-nāqūs-o-azāñ  hai  saaqī
mere  har  lafz  meñ  betāb  mirā  shor-e-darūñ
merī  har  saañs  mohabbat  kā  dhuāñ  hai  saaqī