taskīn-e-dil-e-mahzūñ  na  huī  vo  sa.i-e-karam  farmā  bhī  ga.e
is  sa.i-e-karam  ko  kyā  kahiye  bahlā  bhī  ga.e  taḌpā  bhī  ga.e
ham  arz-e-vafā  bhī  kar  na  sake  kuchh  kah  na  sake  kuchh  sun  na  sake
yaañ  ham  ne  zabāñ  hī  kholī  thī  vaañ  aañkh  jhukī  sharmā  bhī  ga.e
āshuftagī-e-vahshat  kī  qasam  hairat  kī  qasam  hasrat  kī  qasam
ab  aap  kaheñ  kuchh  yā  na  kaheñ  ham  rāz-e-tabassum  pā  bhī  ga.e
rūdād-e-ġham-e-ulfat  un  se  ham  kyā  kahte  kyūñkar  kahte
ik  harf  na  niklā  hoñToñ  se  aur  aañkh  meñ  aañsū  aa  bhī  ga.e
arbāb-e-junūñ  par  furqat  meñ  ab  kyā  kahiye  kyā  kyā  guzrī
aa.e  the  savād-e-ulfat  meñ  kuchh  kho  bhī  ga.e  kuchh  pā  bhī  ga.e
ye  rañg-e-bahār-e-ālam  hai  kyuuñ  fikr  hai  tujh  ko  ai  saaqī
mahfil  to  tirī  suunī  na  huī  kuchh  uTh  bhī  ga.e  kuchh  aa  bhī  ga.e
is  mahfil-e-kaif-o-mastī  meñ  is  anjuman-e-irfānī  meñ
sab  jām-ba-kaf  baiThe  hī  rahe  ham  pī  bhī  ga.e  chhalkā  bhī  ga.e