vo  naqāb  aap  se  uTh  jaa.e  to  kuchh  duur  nahīñ
varna  merī  nigah-e-shauq  bhī  majbūr  nahīñ
ḳhātir-e-ahl-e-nazar  husn  ko  manzūr  nahīñ
is  meñ  kuchh  terī  ḳhatā  dīda-e-mahjūr  nahīñ
laakh  chhupte  ho  magar  chhup  ke  bhī  mastūr  nahīñ
tum  ajab  chiiz  ho  nazdīk  nahīñ  duur  nahīñ
jur.at-e-arz  pe  vo  kuchh  nahīñ  kahte  lekin
har  adā  se  ye  Tapaktā  hai  ki  manzūr  nahīñ
dil  dhaḌak  uThtā  hai  ḳhud  apnī  hī  har  aahaT  par
ab  qadam  manzil-e-jānāñ  se  bahut  duur  nahīñ
haa.e  vo  vaqt  ki  jab  be-piye  mad-hoshī  thī
haa.e  ye  vaqt  ki  ab  pī  ke  bhī  maḳhmūr  nahīñ
husn  hī  husn  hai  jis  samt  uThātā  huuñ  nazar
ab  yahāñ  tuur  nahīñ  barq-e-sar-e-tūr  nahīñ
dekh  saktā  huuñ  jo  āñkhoñ  se  vo  kaafī  hai  'majāz'
ahl-e-irfāñ  kī  navāzish  mujhe  manzūr  nahīñ