dāman-e-dil  pe  nahīñ  bārish-e-ilhām  abhī
ishq  nā-puḳhta  abhī  jazb-e-darūñ  ḳhaam  abhī
ḳhud  hī  jhuktā  huuñ  ki  da.avā-e-junūñ  kyā  kījiye
kuchh  gavārā  bhī  hai  ye  qaid-e-dar-o-bām  abhī
ye  javānī  to  abhī  mā.il-e-paikār  nahīñ
ye  javānī  to  hai  rusvā-e-mai-o-jām  abhī
vaa.iz  o  shaiḳh  ne  sar  joḌ  ke  badnām  kiyā
varna  badnām  na  hotī  mai-e-gulfām  abhī
maiñ  ba-sad-faḳhriya  zuhhād  se  kahtā  huuñ  'majāz'
mujh  ko  hāsil,  sharf-e-bai.at-e-ḳhayyām  abhī