āsmāñ  tak  jo  naala  pahuñchā  hai
dil  kī  gahrā.iyoñ  se  niklā  hai
merī  nazroñ  meñ  hashr  bhī  kyā  hai
maiñ  ne  un  kā  jalāl  dekhā  hai
jalva-e-tūr  ḳhvāb-e-mūsā  hai
kis  ne  dekhā  hai  kis  ko  dekhā  hai
haa.e  anjām  is  safīne  kā
nāḳhudā  ne  jise  Duboyā  hai
aah  kyā  dil  meñ  ab  lahū  bhī  nahīñ
aaj  ashkoñ  kā  rañg  phīkā  hai
jab  bhī  āñkheñ  milīñ  un  āñkhoñ  se
dil  ne  dil  kā  mizāj  pūchhā  hai
vo  javānī  ki  thī  harīf-e-tarab
aaj  barbād-e-jām-o-sahbā  hai
kaun  uTh  kar  chalā  muqābil  se
jis  taraf  dekhiye  añdherā  hai
phir  mirī  aañkh  ho  ga.ī  namnāk
phir  kisī  ne  mizāj  pūchhā  hai
sach  to  ye  hai  'majāz'  kī  duniyā
husn  aur  ishq  ke  sivā  kyā  hai