dard  kī  daulat-e-bedār  atā  ho  saaqī
ham  bahī-ḳhvāh  sabhī  ke  haiñ  bhalā  ho  saaqī
saḳht-jāñ  hī  nahīñ  ham  ḳhud-sar-o-ḳhuddar  bhī  haiñ
nāvak-e-nāz  ḳhatā  hai  to  ḳhatā  ho  saaqī
sa.ī-e-tadbīr  meñ  muzmar  hai  ik  āh-e-jāñ-soz
us  kā  in.aam  sazā  ho  ki  jazā  ho  saaqī
sīna-e-shauq  meñ  vo  zaḳhm  ki  lau  de  uTThe
aur  bhī  tez  zamāne  kī  havā  ho  saaqī